jiwan-bhar ki aas hai tu
jīvan-bhar kī aas hai tū
jiine kā ehsās hai tū
tan se hai tū duur magar
man ke phir bhī paas hai tū
shāyad tū hai ek sarāb
lekin merī pyaas hai tū
tujh hī se ho jaise baqā
aisā ik ehsās hai tū
bazm ho yā tanhā.ī ho
har jā dil ko raas hai tū
jiwan-bhar ki aas hai tu
jine ka ehsas hai tu
tan se hai tu dur magar
man ke phir bhi pas hai tu
shayad tu hai ek sarab
lekin meri pyas hai tu
tujh hi se ho jaise baqa
aisa ek ehsas hai tu
bazm ho ya tanhai ho
har ja dil ko ras hai tu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.