jiwan ho ji pe bar to hairat ki baat hai
jīvan ho jī pe baar to hairat kī baat hai
dārul-amāñ ho daar to hairat kī baat hai
fasl-e-ḳhizāñ chubhe to koī mas.ala nahīñ
chubhne lage bahār to hairat kī baat hai
Thukrā ke jo fasīl-e-mohabbat se uḌ gayā
hai us kā intizār to hairat kī baat hai
khānī thī maiñ ne khaa.ī hai allāh kī qasam
aa.e na e'tibār to hairat kī baat hai
nafrat ke saath kījiye ab ātishīñ sulūk
yuuñ jal rahā hai pyaar to hairat kī baat hai
'zāhid' anā kī raah meñ khā khā ke Thokareñ
utrā nahīñ ḳhumār to hairat kī baat hai
jiwan ho ji pe bar to hairat ki baat hai
darul-aman ho dar to hairat ki baat hai
fasl-e-KHizan chubhe to koi masala nahin
chubhne lage bahaar to hairat ki baat hai
Thukra ke jo fasil-e-mohabbat se uD gaya
hai us ka intizar to hairat ki baat hai
khani thi main ne khai hai allah ki qasam
aae na e'tibar to hairat ki baat hai
nafrat ke sath kijiye ab aatishin suluk
yun jal raha hai pyar to hairat ki baat hai
'zahid' ana ki rah mein kha kha ke Thokaren
utra nahin KHumar to hairat ki baat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.