jīvan taptī riit kā thal
sone kā dhokā pītal
terā badan aur taaj mahal
sundartā ke do symbol
duniyā hai ik andhā kuaañ
chāroñ or hai jal hī jal
dhuup ne jhāñkā khiḌkī se
mach ga.ī kamre meñ halchal
paap dhuleñge donoñ se
madirā ho yā gangā-jal
dekh na bhārī patthar pheñk
dil hai nāzuk shīsh-mahal
'rāj' hamīñ ne chhalkāyā
apne lahū se jām-e-ġhazal
jiwan tapti rit ka thal
sone ka dhoka pital
tera badan aur taj mahal
sundarta ke do symbol
duniya hai ek andha kuan
chaaron or hai jal hi jal
dhup ne jhanka khiDki se
mach gai kamre mein halchal
pap dhulenge donon se
madira ho ya ganga-jal
dekh na bhaari patthar phenk
dil hai nazuk shish-mahal
'raj' hamin ne chhalkaya
apne lahu se jam-e-ghazal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.