jin dinon hum ko us se tha iKHlas
jin dinoñ ham ko us se thā iḳhlās
khul rahā thā vo jā-ba-jā iḳhlās
us ko bhī ham se thī bahut ulfat
aur hameñ us se thā baḌā iḳhlās
mil ke jab baiThte the aapas meñ
thā dikhātā ajab mazā iḳhlās
ek din ham meñ aur 'nazīr' us meñ
ho ke ḳhafgī jo ho chukā iḳhlās
ham ye bole kidhar ga.ī ulfat
vo ye bolā kidhar gayā iḳhlās
jin dinon hum ko us se tha iKHlas
khul raha tha wo ja-ba-ja iKHlas
us ko bhi hum se thi bahut ulfat
aur hamein us se tha baDa iKHlas
mil ke jab baiThte the aapas mein
tha dikhata ajab maza iKHlas
ek din hum mein aur 'nazir' us mein
ho ke KHafgi jo ho chuka iKHlas
hum ye bole kidhar gai ulfat
wo ye bola kidhar gaya iKHlas
- Deewan-e-Nazeer Akbarabadi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.