jin dinon hum us shab-e-haz ke siyah-karon mein the
jin dinoñ ham us shab-e-haz ke siyah-kāroñ meñ the
us ayāġh-e-chashm ke paivasta mai-ḳhvāroñ meñ the
chauñk chauñk ab khīñcho ho dāman hamārī ḳhaak se
vo bhī sapnā ho gayā tum gul the ham ḳhāroñ meñ the
ḳhār-o-ḳhas mahram haiñ pur-fan garche ham rahe juuñ hubāb
ham tire ai bahr-e-husn āḳhir havā-dāroñ meñ the
ḳhaak bhī un kī hai shakl-e-sarv misl-e-gard-bād
is qadar āzād ke jiite giraftāroñ meñ the
ḳhasm jo miqrāz-e-gulchīñ haiñ tire ai sham.a-qad
juuñ patiñge jal ga.e ham jo tire yāroñ meñ the
us azīz-e-ḳhalq kī āñkhoñ ke do bādām par
bik ga.e vo sab jo yūsuf ke ḳharīdāroñ meñ the
ek patthar bhī na aayā sar pe 'uzlat' ab kī saal
ga.e kidhar tiflāñ jo dīvānoñ ke ġham-ḳhvāroñ meñ the
jin dinon hum us shab-e-haz ke siyah-karon mein the
us ayagh-e-chashm ke paiwasta mai-KHwaron mein the
chaunk chaunk ab khincho ho daman hamari KHak se
wo bhi sapna ho gaya tum gul the hum KHaron mein the
KHar-o-KHas mahram hain pur-fan garche hum rahe jun hubab
hum tere ai bahr-e-husn aaKHir hawa-daron mein the
KHak bhi un ki hai shakl-e-sarw misl-e-gard-baad
is qadar aazad ke jite giraftaron mein the
KHasm jo miqraaz-e-gulchin hain tere ai shama-qad
jun patinge jal gae hum jo tere yaron mein the
us aziz-e-KHalq ki aankhon ke do baadam par
bik gae wo sab jo yusuf ke KHaridaron mein the
ek patthar bhi na aaya sar pe 'uzlat' ab ki sal
gae kidhar tiflan jo diwanon ke gham-KHwaron mein the
- Deewan-e-uzlat(Rekhta Website)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.