jin ke ghar mein buDhe babe hote hain
jin ke ghar meñ būḌhe baabe hote haiñ
un ke ghar meñ kam hī jhagḌe hote haiñ
ab to yāroñ kī mahfil meñ bhī aksar
mere hī sheroñ ke charche hote haiñ
ab gaañv kī galiyoñ meñ vīrānī hai
ab kab in meñ khel-tamāshe hote haiñ
miTTī us bastī kī pyārī lagtī hai
jis meñ rahne vaale apne hote haiñ
pahle ghar meñ ek hī kamrā hotā thā
ab to apne apne kamre hote haiñ
Dar lagtā hai 'ābid' aise logoñ se
chehroñ par jo chehre pahne hote haiñ
jin ke ghar mein buDhe babe hote hain
un ke ghar mein kam hi jhagDe hote hain
ab to yaron ki mahfil mein bhi aksar
mere hi sheron ke charche hote hain
ab ganw ki galiyon mein virani hai
ab kab in mein khel-tamashe hote hain
miTTi us basti ki pyari lagti hai
jis mein rahne wale apne hote hain
pahle ghar mein ek hi kamra hota tha
ab to apne apne kamre hote hain
Dar lagta hai 'abid' aise logon se
chehron par jo chehre pahne hote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.