jin ke gunah meri nazar se nihan nahin
jin ke gunāh merī nazar se nihāñ nahīñ
rahte haiñ mujh se dil meñ ḳhafā kis qadar vo log
manzil jinheñ aziiz na rah-rav jinheñ aziiz
kahlāte haiñ hamāre yahāñ rāhbar vo log
anjām-e-kārvāñ thā isī baat se ayaañ
manzil thī jin kī aur bane ham-safar vo log
apnā samajh sakeñ na jinheñ ġhair kah sakeñ
milte haiñ har qadam pe sar-e-rah-guzar vo log
terā kalām sun ke jo ḳhāmosh haiñ 'nazīr'
un kā gila na kah ki haiñ ahl-e-nazar vo log
jin ke gunah meri nazar se nihan nahin
rahte hain mujh se dil mein KHafa kis qadar wo log
manzil jinhen aziz na rah-raw jinhen aziz
kahlate hain hamare yahan rahbar wo log
anjam-e-karwan tha isi baat se ayan
manzil thi jin ki aur bane ham-safar wo log
apna samajh saken na jinhen ghair kah saken
milte hain har qadam pe sar-e-rah-guzar wo log
tera kalam sun ke jo KHamosh hain 'nazir'
un ka gila na kah ki hain ahl-e-nazar wo log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.