jin ke honTon pe hansi panw mein chhaale honge
jin ke hoñToñ pe hañsī paañv meñ chhāle hoñge
haañ vahī log tumheñ chāhne vaale hoñge
mai barastī hai fazāoñ pe nasha taarī hai
mere saaqī ne kahīñ jaam uchhāle hoñge
sham.a vo laa.e haiñ ham jalva-gāh-e-jānāñ se
ab do-ālam meñ ujāle hī ujāle hoñge
un se mafhūm-e-ġham-e-zīst adā ho shāyad
ashk jo dāman-e-mizhgāñ ne sambhāle hoñge
ham baḌe naaz se aa.e the tirī mahfil meñ
kyā ḳhabar thī lab-e-iz.hār pe taale hoñge
jin ke honTon pe hansi panw mein chhaale honge
han wahi log tumhein chahne wale honge
mai barasti hai fazaon pe nasha tari hai
mere saqi ne kahin jam uchhaale honge
shama wo lae hain hum jalwa-gah-e-jaanan se
ab do-alam mein ujale hi ujale honge
un se mafhum-e-gham-e-zist ada ho shayad
ashk jo daman-e-mizhgan ne sambhaale honge
hum baDe naz se aae the teri mahfil mein
kya KHabar thi lab-e-izhaar pe tale honge
- Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 13.03.2015)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.