jin ke zer-e-nagīñ sitāre haiñ
kuchh sunā tum ne vo hamāre haiñ
un ke āñkhoñ ke vo kināre do
be-karānī ke isti.āre haiñ
āñsuoñ ko fuzūl mat samjho
ye baḌe qīmtī sahāre haiñ
jo chamakte the bām-e-gardūñ par
ḳhaak meñ aaj vo sitāre haiñ
garmi-e-shauq ne tirī 'āsif'
un ke ruḳhsār o lab nikhāre haiñ
jin ke zer-e-nagin sitare hain
kuchh suna tum ne wo hamare hain
un ke aankhon ke wo kinare do
be-karani ke istiare hain
aansuon ko fuzul mat samjho
ye baDe qimti sahaare hain
jo chamakte the baam-e-gardun par
KHak mein aaj wo sitare hain
garmi-e-shauq ne teri 'asif'
un ke ruKHsar o lab nikhaare hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.