jin ke zulmon ko hum sah gae
jin ke zulmoñ ko ham sah ga.e
vo hameñ bevafā kah ga.e
ḳhvāb vo mil ke dekhe hue
āñsuoñ meñ sabhī bah ga.e
tum na aa.e nazar duur tak
raah ham dekhte rah ga.e
ro paḌā gaañv meñ jā ke maiñ
mere pushtainī ghar Dah ga.e
zindagī ke har ik moḌ par
zaḳhm jalte hue rah ga.e
'muntazir' Dhaal kar sher meñ
apnī bātoñ ko kyoñ kah ga.e
jin ke zulmon ko hum sah gae
wo hamein bewafa kah gae
KHwab wo mil ke dekhe hue
aansuon mein sabhi bah gae
tum na aae nazar dur tak
rah hum dekhte rah gae
ro paDa ganw mein ja ke main
mere pushtaini ghar Dah gae
zindagi ke har ek moD par
zaKHm jalte hue rah gae
'muntazir' Dhaal kar sher mein
apni baaton ko kyon kah gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.