jinko apni rahon mein diqqaten nahin milti
jin ko apnī rāhoñ meñ diqqateñ nahīñ miltī
un ko apnī manzil kī sohbateñ nahīñ miltī
ḳhuun mere siine kā aañkh tak nahīñ aayā
itnī jald ġhazloñ ko shohrateñ nahīñ miltī
duur rah ke vo mujh se thā qarīb-tar kitnā
paas rah ke kyuuñ us kī qurbateñ nahīñ miltīñ
ik pukār sunte hī jā rahā huuñ maqtal meñ
roz roz dushman kī dāvateñ nahīñ miltīñ
jis ke dil meñ rahtī hai sirf aap kī sūrat
us ko rāh-e-duniyā kī āfateñ nahīñ miltīñ
ham ko mil ga.ī hotī apne 'ishq kī manzil
gar hameñ ye duniyā kī tohmateñ nahīñ miltīñ
apnī dhun ke 'rāhī' ko raah kyā batāte ho
ham se terī duniyā kī ādateñ nahīñ miltīñ
jin ko apni rahon mein diqqaten nahin milti
un ko apni manzil ki sohbaten nahin milti
KHun mere sine ka aankh tak nahin aaya
itni jald ghazlon ko shohraten nahin milti
dur rah ke wo mujh se tha qarib-tar kitna
pas rah ke kyun us ki qurbaten nahin miltin
ek pukar sunte hi ja raha hun maqtal mein
roz roz dushman ki dawaten nahin miltin
jis ke dil mein rahti hai sirf aap ki surat
us ko rah-e-duniya ki aafaten nahin miltin
hum ko mil gai hoti apne 'ishq ki manzil
gar hamein ye duniya ki tohmaten nahin miltin
apni dhun ke 'rahi' ko rah kya batate ho
hum se teri duniya ki aadaten nahin miltin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.