jinko har ja koi anjaan safar lagta hai
jin ko har jā koī anjān safar lagtā hai
un ko har lafz haqīqat se itar lagtā hai
istirāhat ke ta'āqub meñ sabhī pāgal haiñ
kitnā dushvār ye āsān safar lagtā hai
koī aisā ho ki jis ke liye vāpas lauTūñ
iiñT gaare kā ye Dhāñcha tabhī ghar lagtā hai
bech kar apnā zamīr aap ne paayā hai sukūn
varna duniyā meñ kahāñ koī niDar lagtā hai
guzrī sadiyoñ meñ ka.ī shāhū ḳhalīfa aa.e
kaun sā un meñ bhalā misl-e-'umar lagtā hai
ik shahanshāh biThā rakkhā hai sar par ham ne
jo ki iblīs kā iklautā pisar lagtā hai
jin ko har ja koi anjaan safar lagta hai
un ko har lafz haqiqat se itar lagta hai
istirahat ke ta'aqub mein sabhi pagal hain
kitna dushwar ye aasan safar lagta hai
koi aisa ho ki jis ke liye wapas lauTun
inT gare ka ye Dhancha tabhi ghar lagta hai
bech kar apna zamir aap ne paya hai sukun
warna duniya mein kahan koi niDar lagta hai
guzri sadiyon mein kai shahu KHalifa aae
kaun sa un mein bhala misl-e-'umar lagta hai
ek shahanshah biTha rakkha hai sar par hum ne
jo ki iblis ka iklauta pisar lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.