jinko har rang mein jine ka kamal aata hai
jin ko har rang meñ jiine kā kamāl aatā hai
un ke ā.īna-e-dil meñ kahīñ baal aatā hai
kaun suntā hai sadā TuuTe diloñ kī ai dil
ġham-nasīboñ kā bhalā kis ko ḳhayāl aatā hai
yuuñ to mansūr bane phirte haiñ kuchh log magar
un ke hosh uḌte haiñ jab sar kā savāl aatā hai
ham ki āzād haiñ ḳhush-bāsh parindoñ kī tarah
kuchh bhī hotā rahe kab dil meñ malāl aatā hai
dil meñ jal uThtī haiñ sau sham.eñ hasīñ yādoñ kī
jab hameñ ahd-e-javānī kā ḳhayāl aatā hai
kyoñ unheñ ḳhabt mohabbat kā hai jin ke aage
jiine marne kā mohabbat meñ savāl aatā hai
jis ke muhtāj shahanshāh bhī haiñ ai 'āqil'
ham faqīroñ ko ik aisā bhī kamāl aatā hai
jin ko har rang mein jine ka kamal aata hai
un ke aaina-e-dil mein kahin baal aata hai
kaun sunta hai sada TuTe dilon ki ai dil
gham-nasibon ka bhala kis ko KHayal aata hai
yun to mansur bane phirte hain kuchh log magar
un ke hosh uDte hain jab sar ka sawal aata hai
hum ki aazad hain KHush-bash parindon ki tarah
kuchh bhi hota rahe kab dil mein malal aata hai
dil mein jal uThti hain sau shamen hasin yaadon ki
jab hamein ahd-e-jawani ka KHayal aata hai
kyon unhen KHabt mohabbat ka hai jin ke aage
jine marne ka mohabbat mein sawal aata hai
jis ke muhtaj shahanshah bhi hain ai 'aqil'
hum faqiron ko ek aisa bhi kamal aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.