jinko kuchh manzur rab ki dosti se kam nahin
jin ko kuchh manzūr rab kī dostī se kam nahīñ
maut bhī un ke liye to zindagī se kam nahīñ
ek ye bhī hai ibādat kā tarīqa dosto
ḳhidmat-e-ḳhalq-e-ḳhudā bhī bandagī se kam nahīñ
phir ḳhayāl aatā hai naḳhvat hai ḳhudā ko nā-pasand
jī meñ aatā to hai kah deñ ham kisī se kam nahīñ
sulh kā kyoñ rāsta karte nahīñ tum iḳhtiyār
dushmanoñ jab hone vaalī dushmanī se kam nahīñ
jis ko hāsil ho ga.ī vo sāhab-e-tauqīr hai
tere dar kī naukrī bhī afsarī se kam nahīñ
maan jā sham-e-mohabbat ko bujhā mat maan jā
ye ujālā sūrajoñ kī raushnī se kam nahīñ
sher kahnā shauq hai pesha nahīñ merā 'kamāl'
ishq vaise to mujhe bhī shā.irī se kam nahīñ
jin ko kuchh manzur rab ki dosti se kam nahin
maut bhi un ke liye to zindagi se kam nahin
ek ye bhi hai ibaadat ka tariqa dosto
KHidmat-e-KHalq-e-KHuda bhi bandagi se kam nahin
phir KHayal aata hai naKHwat hai KHuda ko na-pasand
ji mein aata to hai kah den hum kisi se kam nahin
sulh ka kyon rasta karte nahin tum iKHtiyar
dushmanon jab hone wali dushmani se kam nahin
jis ko hasil ho gai wo sahab-e-tauqir hai
tere dar ki naukri bhi afsari se kam nahin
man ja sham-e-mohabbat ko bujha mat man ja
ye ujala surajon ki raushni se kam nahin
sher kahna shauq hai pesha nahin mera 'kamal'
ishq waise to mujhe bhi shairi se kam nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.