jinko malum nahin hoga dua ka matlab
jin ko mā'lūm nahīñ hogā du'ā kā matlab
vo hameñ ḳhaak batā.eñge ḳhudā kā matlab
vo ye kahte haiñ mohabbat meñ sazā pāoge
aur maiñ ḳhuub samajhtā huuñ sazā kā matlab
yā'nī kāñToñ se maiñ ḳhushbū ke ma'ānī pūchhūñ
yā'nī ab aap batā.eñge vafā kā matlab
mustaqil chīḳhte rahne kī banā lī 'ādat
us ke kānoñ ko batānā thā sadā kā matlab
āḳhirash mar gayā bīmār davā kah kah kar
chārāgar DhūñD nahīñ paa.e davā kā matlab
us kī bātoñ meñ mohabbat hai balā kī 'yāsir'
us ke lahje se jhalaktā hai balā kā matlab
jin ko ma'lum nahin hoga du'a ka matlab
wo hamein KHak bataenge KHuda ka matlab
wo ye kahte hain mohabbat mein saza paoge
aur main KHub samajhta hun saza ka matlab
ya'ni kanTon se main KHushbu ke ma'ani puchhun
ya'ni ab aap bataenge wafa ka matlab
mustaqil chiKHte rahne ki bana li 'adat
us ke kanon ko batana tha sada ka matlab
aaKHirash mar gaya bimar dawa kah kah kar
chaaragar DhunD nahin pae dawa ka matlab
us ki baaton mein mohabbat hai bala ki 'yasir'
us ke lahje se jhalakta hai bala ka matlab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.