jin se uThta nahin kali ka bojh
jin se uThtā nahīñ kalī kā bojh
un ke kandhoñ pe zindagī kā bojh
vaqt jab haath meñ nahīñ rahtā
kis liye haath par ghaḌī kā bojh
byaah ke vaqt kī koī photo
gahnoñ ke bojh par hañsī kā bojh
sar pe yādoñ kī Tokarī rakh lī
kam na hone diyā kamī kā bojh
minnateñ kyoñ kare ḳhudā se ab
aadmī bāñTe aadmī kā bojh
zabt kā bāñdh TuuT jaane do
kam karo aañkh se namī kā bojh
hijr thā ek hī ghaḌī kā par
dil se utrā na us ghaḌī kā bojh
ham ko aise ḳhudā qubūl nahīñ
jin se uThtā nahīñ ḳhudī kā bojh
jin se uThta nahin kali ka bojh
un ke kandhon pe zindagi ka bojh
waqt jab hath mein nahin rahta
kis liye hath par ghaDi ka bojh
byah ke waqt ki koi photo
gahnon ke bojh par hansi ka bojh
sar pe yaadon ki Tokari rakh li
kam na hone diya kami ka bojh
minnaten kyon kare KHuda se ab
aadmi banTe aadmi ka bojh
zabt ka bandh TuT jaane do
kam karo aankh se nami ka bojh
hijr tha ek hi ghaDi ka par
dil se utra na us ghaDi ka bojh
hum ko aise KHuda qubul nahin
jin se uThta nahin KHudi ka bojh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.