jis dil mein nihan unki taswir nahin hoti
jis dil meñ nihāñ un kī tasvīr nahīñ hotī
us dil kī haqīqat meñ tauqīr nahīñ hotī
āñkhoñ ko tamanna hai ḳhāk-e-dar-e-jānāñ kī
ḳhāk-e-dar-e-har-kūcha iksīr nahīñ hotī
ronā to hai bas us kī mahrūmī-e-qismat kā
ye daulat-e-ġham jis kī taqdīr nahīñ hotī
kyoñ jam.a karūñ tinke hai barq-zadā gulshan
sho.aloñ meñ nasheman kī ta.amīr nahīñ hotī
ai 'aish' hai farsūda ab qais kā afsāna
ulfat to kisī kī bhī jāgīr nahīñ hotī
jis dil mein nihan un ki taswir nahin hoti
us dil ki haqiqat mein tauqir nahin hoti
aankhon ko tamanna hai KHak-e-dar-e-jaanan ki
KHak-e-dar-e-har-kucha iksir nahin hoti
rona to hai bas us ki mahrumi-e-qismat ka
ye daulat-e-gham jis ki taqdir nahin hoti
kyon jama karun tinke hai barq-zada gulshan
shoalon mein nasheman ki tamir nahin hoti
ai 'aish' hai farsuda ab qais ka afsana
ulfat to kisi ki bhi jagir nahin hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.