jis ghaDi un se baat hoti hai
jis ghaḌī un se baat hotī hai
raqs meñ kā.enāt hotī hai
un ke aane se din nikaltā hai
un ke jaane se raat hotī hai
lafz yuuñ phuul ban ke jhaḌte haiñ
goyā har sū barāt hotī hai
un se milne ko mo.ajiza kahiye
husn kī ye zakāt hotī hai
rog aisā lagā hai ulfat kā
is se kaise najāt hotī hai
zālimoñ se vo Dar nahīñ saktā
jis ke dil meñ furāt hotī hai
jis ghaDi un se baat hoti hai
raqs mein kaenat hoti hai
un ke aane se din nikalta hai
un ke jaane se raat hoti hai
lafz yun phul ban ke jhaDte hain
goya har su baraat hoti hai
un se milne ko moajiza kahiye
husn ki ye zakat hoti hai
rog aisa laga hai ulfat ka
is se kaise najat hoti hai
zalimon se wo Dar nahin sakta
jis ke dil mein furaat hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.