jis jagah jo KHush-nashin aaya nazar rahne diya
jis jagah jo ḳhush-nashīñ aayā nazar rahne diyā
ham ne raushan-dān meñ chiḌiyoñ kā ghar rahne diyā
mil ke jo bichhḌe unheñ jaane se rokā bhī nahīñ
aur jo saath aa.e un ko ham-safar rahne diyā
jis ke Dar kī karte phirte haiñ tijārat ahl-e-dīñ
ham ne us ke ḳhauf se larzīda shar rahne diyā
dard-e-dil ko bhī davāoñ se hī bahlāte rahe
bad-duāoñ ko hamesha be-asar rahne diyā
har sahar tujh ko bhulāne ke liye daftar gayā
aur tirī yādoñ ko mehmāñ raat bhar rahne diyā
jis meñ hāthoñ ko mire thāme nazar aate ho tum
bas usī tasvīr ko dīvār par rahne diyā
sab badal kar rakh diyā ham ne in āñkhoñ ke liye
haañ magar manzar-ba-manzar chashm-e-tar rahne diyā
jis jagah jo KHush-nashin aaya nazar rahne diya
hum ne raushan-dan mein chiDiyon ka ghar rahne diya
mil ke jo bichhDe unhen jaane se roka bhi nahin
aur jo sath aae un ko ham-safar rahne diya
jis ke Dar ki karte phirte hain tijarat ahl-e-din
hum ne us ke KHauf se larzida shar rahne diya
dard-e-dil ko bhi dawaon se hi bahlate rahe
bad-duaon ko hamesha be-asar rahne diya
har sahar tujh ko bhulane ke liye daftar gaya
aur teri yaadon ko mehman raat bhar rahne diya
jis mein hathon ko mere thame nazar aate ho tum
bas usi taswir ko diwar par rahne diya
sab badal kar rakh diya hum ne in aankhon ke liye
han magar manzar-ba-manzar chashm-e-tar rahne diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.