Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jis ke hum bimar hain gham ne use bhi randa hai

Shad Lakhnavi

jis ke hum bimar hain gham ne use bhi randa hai

Shad Lakhnavi

MORE BYShad Lakhnavi

    jis ke ham bīmār haiñ ġham ne use bhī rāñda hai

    ho chukā darmāñ masīhā aap darmāñda hai

    jīte-jī kyā mar ga.e par bhī vabāl-e-dosh hai

    jo mirī mayyat uThātā hai vo detā kāñdhā hai

    tā-qayāmat gardish-e-taqdīr jaane nahīñ

    apnī bargashta-nasībī ne vo charḳhā nāñda hai

    hai ayaañ har shai se dikhlā.ī nahīñ detā magar

    vaah re DhaT bandī kyā sab nazar ko bāñdhā hai

    ham idhar betāb udhar vo barq-vash betāb hai

    kauñdtī bijlī kisī jānib lapaktā kāñda hai

    uḌ gayā bak-bak se ham nāzuk-mizājo dimāġh

    pand-go chup rah kahāñ qissa nāñdhā hai

    Dar nahīñ be-mātre ai 'shād' hindī lafz

    is ġhazal meñ qāfiya dānista ham ne bāñdhā hai

    jis ke hum bimar hain gham ne use bhi randa hai

    ho chuka darman masiha aap hi darmanda hai

    jite-ji kya mar gae par bhi wabaal-e-dosh hai

    jo meri mayyat uThata hai wo deta kandha hai

    ta-qayamat gardish-e-taqdir jaane ki nahin

    apni bargashta-nasibi ne wo charKHa nanda hai

    hai ayan har shai se dikhlai nahin deta magar

    wah re DhaT bandi kya sab ki nazar ko bandha hai

    hum idhar betab udhar wo barq-wash betab hai

    kaundti bijli kisi jaanib lapakta kanda hai

    uD gaya bak-bak se hum nazuk-mizajo ka dimagh

    pand-go chup rah kahan ka qissa nandha hai

    Dar nahin be-matre ai 'shad' hindi lafz ka

    is ghazal mein qafiya danista hum ne bandha hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now