jis ke liye na jazba-e-dil kargar raha
jis ke liye na jazba-e-dil kārgar rahā
us kā hī intizār mujhe 'umr bhar rahā
dāġh-e-nihāñ-o-āh-o-fuġhāñ dil-giraftagī
kyā vasl thā ki hijr meñ jis kā asar rahā
khāyā usī se zaḳhm tarāshā thā jis ko ḳhud
barsoñ mirā ḳhudā but-e-bedād-gar rahā
tū aur koī zabt kā paikar talāsh kar
ab mujh pe terā tiir nahīñ kaam kar rahā
'irsa' hayāt-e-dahr hai koh-e-girāñ mujhe
tā-'umr mirā koī nahīñ chārāgar rahā
jis ke liye na jazba-e-dil kargar raha
us ka hi intizar mujhe 'umr bhar raha
dagh-e-nihan-o-ah-o-fughan dil-giraftagi
kya wasl tha ki hijr mein jis ka asar raha
khaya usi se zaKHm tarasha tha jis ko KHud
barson mera KHuda but-e-bedad-gar raha
tu aur koi zabt ka paikar talash kar
ab mujh pe tera tir nahin kaam kar raha
'irsa' hayat-e-dahr hai koh-e-giran mujhe
ta-'umr mera koi nahin chaaragar raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.