jis ki KHatir gai wo tha hi nahin
jis kī ḳhātir ga.ī vo thā hī nahīñ
phir mirā dil vahāñ lagā hī nahīñ
ḳhud ko maiñ ne kabhī nahīñ dekhā
mere kamre meñ aa.ina hī nahīñ
kyoñ maiñ ta.abīr DhūñDhtī phirtī
ḳhvāb āñkhoñ meñ koī thā hī nahīñ
ab havāoñ ko tez chalne do
ab mire haath meñ diyā hī nahīñ
vo kahīñ hai bhī yā nahīñ maujūd
raaz ye aaj tak khulā hī nahīñ
jis ki KHatir gai wo tha hi nahin
phir mera dil wahan laga hi nahin
KHud ko main ne kabhi nahin dekha
mere kamre mein aaina hi nahin
kyon main tabir DhunDhti phirti
KHwab aankhon mein koi tha hi nahin
ab hawaon ko tez chalne do
ab mere hath mein diya hi nahin
wo kahin hai bhi ya nahin maujud
raaz ye aaj tak khula hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.