jis ki KHatir sajai mahfil hai
jis kī ḳhātir sajā.ī mahfil hai
kyoñ rasā.ī usī kī mushkil hai
zindagī kyā hai maiñ batātā huuñ
ek majmūa-e-masā.il hai
us ko bhī to sazā mile koī
jo mirī ḳhvāhishoñ kā qātil hai
pahle vo mujh pe jaañ chhiḌaktā thā
ab mire dushmanoñ meñ shāmil hai
dast-e-qātil bhalā na kyoñ larzeñ
tiir kā ruḳh jo sū-e-bismil hai
rahtī duniyā talak ye karb-o-balā
haqq-o-bātil meñ hadd-e-fāsil hai
hone vaalā hai kuchh burā shāyad
āj-kal muztarib mirā dil hai
baap bolā adā karūñ kaise
is qadar paanī gas kā bil hai
vo fasīl-e-anā girānī hai
jo hamāre miyān haa.il hai
ek din ġham to ek roz ḳhushī
bas yahī zindagī kā hāsil hai
aaj ke daur meñ jise dekho
maqsad-e-zindagī se ġhāfil hai
kaise khāte ho shauq se 'nūrī'
ḳhālī filfil se ye falāfil hai
jis ki KHatir sajai mahfil hai
kyon rasai usi ki mushkil hai
zindagi kya hai main batata hun
ek majmua-e-masail hai
us ko bhi to saza mile koi
jo meri KHwahishon ka qatil hai
pahle wo mujh pe jaan chhiDakta tha
ab mere dushmanon mein shamil hai
dast-e-qatil bhala na kyon larzen
tir ka ruKH jo su-e-bismil hai
rahti duniya talak ye karb-o-bala
haqq-o-baatil mein hadd-e-fasil hai
hone wala hai kuchh bura shayad
aaj-kal muztarib mera dil hai
bap bola ada karun kaise
is qadar pani gas ka bil hai
wo fasil-e-ana girani hai
jo hamare miyan hail hai
ek din gham to ek roz KHushi
bas yahi zindagi ka hasil hai
aaj ke daur mein jise dekho
maqsad-e-zindagi se ghafil hai
kaise khate ho shauq se 'nuri'
KHali filfil se ye falafil hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.