jis ki qismat mein gham-parasti hai
jis kī qismat meñ ġham-parastī hai
bas vahī kāmyāb hastī hai
rāt-din sirf ġham-parastī hai
dil kī hastī ajiib hastī hai
mere qadmoñ pe sar hai duniyā kā
kis kā parda hijāb-e-hastī hai
har kamāl ik zavāl hai ya.anī
har bulandī dalīl-e-pastī hai
uf re nākāmiyāñ mohabbat kī
ab asar ko duā tarastī hai
ho ḳhudī par jo be-ḳhudī ġhālib
ḳhud-parastī ḳhudā-parastī hai
ḳhāk-madfan falak-nashīñ hai aaj
kis bulandī pe merī pastī hai
ai 'shifā' jo hai ġham se begāna
us ko kyā ḳhaak lutf-e-hastī hai
jis ki qismat mein gham-parasti hai
bas wahi kaamyab hasti hai
raat-din sirf gham-parasti hai
dil ki hasti ajib hasti hai
mere qadmon pe sar hai duniya ka
kis ka parda hijab-e-hasti hai
har kamal ek zawal hai yani
har bulandi dalil-e-pasti hai
uf re nakaamiyan mohabbat ki
ab asar ko dua tarasti hai
ho KHudi par jo be-KHudi ghaalib
KHud-parasti KHuda-parasti hai
KHak-madfan falak-nashin hai aaj
kis bulandi pe meri pasti hai
ai 'shifa' jo hai gham se begana
us ko kya KHak lutf-e-hasti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.