jis ko dekha so yahan dushman-e-jaan hai apna
jis ko dekha so yahan dushman-e-jaan hai apna
Shaikh Zahuruddin Hatim
MORE BYShaikh Zahuruddin Hatim
jis ko dekhā so yahāñ dushman-e-jāñ hai apnā
dil ko jaane the ham apnā so kahāñ hai apnā
qissa-e-majnūñ-o-farhād bhī ik pardā hai
jo fasāna hai yahāñ sharh-o-bayāñ hai apnā
vasf kahne meñ tire husn ke sharminda huuñ
us ke qābil na zabāñ hai na dahāñ hai apnā
jis ko jaanā ho bhalā us ko burā kyā kahiye
go ki bad-vaz.a hai par ab to miyāñ hai apnā
jis ko dekha so yahan dushman-e-jaan hai apna
dil ko jaane the hum apna so kahan hai apna
qissa-e-majnun-o-farhad bhi ek parda hai
jo fasana hai yahan sharh-o-bayan hai apna
wasf kahne mein tere husn ke sharminda hun
us ke qabil na zaban hai na dahan hai apna
jis ko jaana ho bhala us ko bura kya kahiye
go ki bad-waza hai par ab to miyan hai apna
- Book : Diwan-e-Zaada (Pg. 134)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.