jis ko dekho bewafa hai aainon ke shahr mein
jis ko dekho bevafā hai ā.inoñ ke shahr meñ
pattharoñ se vāsta hai ā.inoñ ke shahr meñ
roz harf-e-ārzū par TūTte rahte haiñ dil
roz arz-e-mudda.ā hai ā.inoñ ke shahr meñ
qahqahe lagte haiñ āvāz-e-shikast-e-dil ke saath
kab koī dard-āshnā hai ā.inoñ ke shahr meñ
husn vaalo kis liye 'ejāz' se ye ijtināb
ik vahī tū pārsā hai ā.inoñ ke shahr meñ
jis ko dekho bewafa hai aainon ke shahr mein
pattharon se wasta hai aainon ke shahr mein
roz harf-e-arzu par TuTte rahte hain dil
roz arz-e-muddaa hai aainon ke shahr mein
qahqahe lagte hain aawaz-e-shikast-e-dil ke sath
kab koi dard-ashna hai aainon ke shahr mein
husn walo kis liye 'ejaz' se ye ijtinab
ek wahi tu parsa hai aainon ke shahr mein
- Book : Nuquush-e-daaG (Pg. 178)
- Author : Sahir Hoshiyarpuri
- Publication : Haryana Urdu Acadami (1992)
- Edition : 1992
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.