jis ko hasti o adam jaante hain
jis ko hastī o adam jānte haiñ
hai vo kuchh aur hī ham jaate haiñ
kūcha-e-jumb se mulhaq hai shaiḳh
ham jise rāh-e-haram jānte haiñ
juzv o kul ek hai juuñ qatra-e-bahr
bahut is ramz ko kam jānte haiñ
shāhid-e-ḳhūb o makān-e-dilchasp
ham yahī huur o iram jānte haiñ
kah na mat khā mire sar kī saugand
ham to ik ye hī qasam jānte haiñ
kahte ho ā.ūñgā maiñ ik dam meñ
aise ham saikaḌoñ dam jānte haiñ
dil jo taabe na ho apne 'qā.em'
ham use chhātī pe jam jānte haiñ
jis ko hasti o adam jaante hain
hai wo kuchh aur hi hum jate hain
kucha-e-jumb se mulhaq hai shaiKH
hum jise rah-e-haram jaante hain
juzw o kul ek hai jun qatra-e-bahr
bahut is ramz ko kam jaante hain
shahid-e-KHub o makan-e-dilchasp
hum yahi hur o iram jaante hain
kah na mat kha mere sar ki saugand
hum to ek ye hi qasam jaante hain
kahte ho aaunga main ek dam mein
aise hum saikaDon dam jaante hain
dil jo tabe na ho apne 'qaem'
hum use chhati pe jam jaante hain
- Deewan-e-Qaem Chandpuri (Rekhta Website)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.