jis ko jhuTon se pyar hota hai
jis ko jhūToñ se pyaar hotā hai
vo baḌā bā-vaqār hotā hai
us kā jiinā bhī hai koī jiinā
jo buroñ meñ shumār hotā hai
be-adab har jagah hai be-izzat
bā-adab bā-vaqār hotā hai
us se hotī hai sab ko hamdardī
ḳhud bhī jo ġham-gusār hotā hai
bol kar jhuuT vo ḳhudā jaane
kis liye sharmsār hotā hai
dūsroñ kī jo chuġhliyāñ khaa.e
sab kī nazroñ meñ ḳhaar hotā hai
ġham koī ho magar namāz ke ba.ad
dil ko hāsil qarār hotā hai
us ko achchhā koī nahīñ kahtā
fail jo baar baar hotā hai
daulat-e-dīn jis ko mil jaa.e
vo bahut māl-dār hotā hai
paas kyā ho vo imtihān meñ jo
madrase se farār hotā hai
jis ko jhuTon se pyar hota hai
wo baDa ba-waqar hota hai
us ka jina bhi hai koi jina
jo buron mein shumar hota hai
be-adab har jagah hai be-izzat
ba-adab ba-waqar hota hai
us se hoti hai sab ko hamdardi
KHud bhi jo gham-gusar hota hai
bol kar jhuT wo KHuda jaane
kis liye sharmsar hota hai
dusron ki jo chughliyan khae
sab ki nazron mein KHar hota hai
gham koi ho magar namaz ke baad
dil ko hasil qarar hota hai
us ko achchha koi nahin kahta
fail jo bar bar hota hai
daulat-e-din jis ko mil jae
wo bahut mal-dar hota hai
pas kya ho wo imtihan mein jo
madrase se farar hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.