jis ko KHabar nahin use josh-o-KHarosh hai
jis ko ḳhabar nahīñ use josh-o-ḳharosh hai
jo pā gayā vo raaz vo gum hai ḳhamosh hai
hai ek shor-e-bulbul-o-saut-e-shagufta-gul
ye sūrat-e-āfiyat hai vo yāsīn-e-hosh hai
aa.ī thī shakl dil ke jo aa.ina meñ nazar
band aañkh is se aur zabāñ bhī ḳhamosh hai
ye haal ho ki aap meñ aalam ko dekh le
gar dil meñ tere ishq kī kasrat kā josh hai
kab hai kamāl-e-ishq pe haavī ġham-e-firāq
ek ek zarra qais ko mahmil ba-dosh hai
vārafta-e-havā-e-tarab yaad rakh use
jo dard kī khaTak hai naved-e-sharosh hai
barq-e-jamāl nāfe-e-mā-o-shumā huī
kyā zikr-e-sham-e-tūr ki vo bhī ḳhamosh hai
kyā hai tirā hudūs-o-qidam ham to haiñ vahāñ
hastī jahāñ adam ke liye ḳhvāb-nosh hai
ushshāq jaama pahne haiñ taslīm-e-ishq kā
dastār-o-jubba shaiḳh kā haañ pardā-posh hai
tere jahāñ se mahfil-e-rindāñ judā hai shaiḳh
har ek muġhbacha yahāñ kasr-e-farosh hai
saaqī kī ek nazar hī hameñ mast kar ga.ī
kis ko surāhī-o-ḳham-o-sāġhar kā hosh hai
amrit ke jhāle mar kiyā lā-taqnatū kī haiñ
is bazm meñ ye mashġhala-e-nāo-nosh hai
'kaifī' ye ahl-e-dahr se kah do pukār kar
is bazm meñ vo aa.e ki jo sarfarosh hai
jis ko KHabar nahin use josh-o-KHarosh hai
jo pa gaya wo raaz wo gum hai KHamosh hai
hai ek shor-e-bulbul-o-saut-e-shagufta-gul
ye surat-e-afiyat hai wo yasin-e-hosh hai
aai thi shakl dil ke jo aaina mein nazar
band aankh is se aur zaban bhi KHamosh hai
ye haal ho ki aap mein aalam ko dekh le
gar dil mein tere ishq ki kasrat ka josh hai
kab hai kamal-e-ishq pe hawi gham-e-firaq
ek ek zarra qais ko mahmil ba-dosh hai
warafta-e-hawa-e-tarab yaad rakh use
jo dard ki khaTak hai nawed-e-sharosh hai
barq-e-jamal nafe-e-ma-o-shuma hui
kya zikr-e-sham-e-tur ki wo bhi KHamosh hai
kya hai tera hudus-o-qidam hum to hain wahan
hasti jahan adam ke liye KHwab-nosh hai
ushshaq jama pahne hain taslim-e-ishq ka
dastar-o-jubba shaiKH ka han parda-posh hai
tere jahan se mahfil-e-rindan juda hai shaiKH
har ek mughbacha yahan kasr-e-farosh hai
saqi ki ek nazar hi hamein mast kar gai
kis ko surahi-o-KHam-o-saghar ka hosh hai
amrit ke jhaale mar kiya la-taqnatu ki hain
is bazm mein ye mashghala-e-nao-nosh hai
'kaifi' ye ahl-e-dahr se kah do pukar kar
is bazm mein wo aae ki jo sarfarosh hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.