Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jis ko mana tha KHuda KHak ka paikar nikla

Waheed Akhtar

jis ko mana tha KHuda KHak ka paikar nikla

Waheed Akhtar

MORE BYWaheed Akhtar

    jis ko maanā thā ḳhudā ḳhaak paikar niklā

    haath aayā jo yaqīñ vahm sarāsar niklā

    ik safar dasht-e-ḳharābī se sarāboñ tak hai

    aañkh kholī to jahāñ ḳhvāb manzar niklā

    kal jahāñ zulm ne kaaTī thiiñ saroñ fasleñ

    nam huī hai to usī ḳhaak se lashkar niklā

    ḳhushk āñkhoñ se uThī mauj to duniyā Duubī

    ham jise samjhe the sahrā vo samundar niklā

    zer-e-pā ab na zamīñ hai na falak hai sar par

    sail-e-taḳhlīq bhī girdāb manzar niklā

    gum haiñ jibrīl o nabī gum haiñ kitāb o īmāñ

    āsmāñ ḳhud bhī ḳhalāoñ samundar niklā

    arsh par aaj utartī hai zamīnoñ vahī

    kurra-e-ḳhāk sitāroñ se munavvar niklā

    har payambar se sahīfe taqāzā na huā

    haq ye qarz bhī niklā to hamīñ par niklā

    guuñj uThā naġhma-e-kun dasht-e-tamannā meñ 'vahīd'

    pā-e-vahshat had-e-imkāñ se jo bāhar niklā

    jis ko mana tha KHuda KHak ka paikar nikla

    hath aaya jo yaqin wahm sarasar nikla

    ek safar dasht-e-KHarabi se sarabon tak hai

    aankh kholi to jahan KHwab ka manzar nikla

    kal jahan zulm ne kaTi thin saron ki faslen

    nam hui hai to usi KHak se lashkar nikla

    KHushk aankhon se uThi mauj to duniya Dubi

    hum jise samjhe the sahra wo samundar nikla

    zer-e-pa ab na zamin hai na falak hai sar par

    sail-e-taKHliq bhi girdab ka manzar nikla

    gum hain jibril o nabi gum hain kitab o iman

    aasman KHud bhi KHalaon ka samundar nikla

    arsh par aaj utarti hai zaminon ki wahi

    kurra-e-KHak sitaron se munawwar nikla

    har payambar se sahife ka taqaza na hua

    haq ka ye qarz bhi nikla to hamin par nikla

    gunj uTha naghma-e-kun dasht-e-tamanna mein 'wahid'

    pa-e-wahshat had-e-imkan se jo bahar nikla

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    jis ko mana tha KHuda KHak ka paikar nikla Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now