jis ko nasib iffat-e-qalb-o-nazar nahin
jis ko nasīb iffat-e-qalb-o-nazar nahīñ
āñkhoñ meñ laakh nuur sahī dīda-var nahīñ
husn-e-talab nahīñ kahīñ zauq-e-nazar nahīñ
varna vo āftāb kahāñ jalva-gar nahīñ
maanā ki tū hai mahram-e-rāz-e-nihāñ magar
apnī ḳhabar nahīñ hai to kuchh bhī ḳhabar nahīñ
maiñ ḳhud hī jazb-e-ishq pe qaabū na rakh sakā
tujh se to koī shikva mujhe chashm-e-tar nahīñ
hote haiñ bāryāb yahāñ sarfarosh hī
ye bārgāh-e-ishq hai ḳhāla kā ghar nahīñ
husn-e-nazar atā ho to har zarra tuur hai
kuchh bhī hasīñ nahīñ hai jo husn-e-nazar nahīñ
vo kyā ga.e ki ishq kī duniyā ujaḌ ga.ī
dīvār-o-dar nahīñ haiñ vo shām-o-sahar nahīñ
sun kar tire kalām ko vo ham-kalām hoñ
'sābir' tire kalām meñ itnā asar nahīñ
jis ko nasib iffat-e-qalb-o-nazar nahin
aankhon mein lakh nur sahi dida-war nahin
husn-e-talab nahin kahin zauq-e-nazar nahin
warna wo aaftab kahan jalwa-gar nahin
mana ki tu hai mahram-e-raaz-e-nihan magar
apni KHabar nahin hai to kuchh bhi KHabar nahin
main KHud hi jazb-e-ishq pe qabu na rakh saka
tujh se to koi shikwa mujhe chashm-e-tar nahin
hote hain baryab yahan sarfarosh hi
ye bargah-e-ishq hai KHala ka ghar nahin
husn-e-nazar ata ho to har zarra tur hai
kuchh bhi hasin nahin hai jo husn-e-nazar nahin
wo kya gae ki ishq ki duniya ujaD gai
diwar-o-dar nahin hain wo sham-o-sahar nahin
sun kar tere kalam ko wo ham-kalam hon
'sabir' tere kalam mein itna asar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.