jis ko pas usne biThaya ek din
jis ko paas us ne biThāyā ek din
us ko duniyā se uThāyā ek din
vasl kī shab dekhte us maah ko
saal meñ bhī vo na aayā ek din
sub.h-e-naumīdī hamārī shab kī hai
umr guzrī vo na aayā ek din
kaam meñ mere hamesha yaar ne
ek saa.at kā lagāyā ek din
misl-e-barq ik shab hañsāyā aap ne
abr kī sūrat rulāyā ek din
yād-e-zulf-o-ruḳh meñ bhūle ḳhvāb-o-ḳhur
ek shab so.e na khāyā ek din
vo tap-e-larza kā daura ho gayā
ek din aayā na aayā ek din
yaad jis ḳhurshīd-rū kī hai 'vaqār'
bhuul kar bhī vo na aayā ek din
jis ko pas us ne biThaya ek din
us ko duniya se uThaya ek din
wasl ki shab dekhte us mah ko
sal mein bhi wo na aaya ek din
subh-e-naumidi hamari shab ki hai
umr guzri wo na aaya ek din
kaam mein mere hamesha yar ne
ek saat ka lagaya ek din
misl-e-barq ek shab hansaya aap ne
abr ki surat rulaya ek din
yaad-e-zulf-o-ruKH mein bhule KHwab-o-KHur
ek shab soe na khaya ek din
wo tap-e-larza ka daura ho gaya
ek din aaya na aaya ek din
yaad jis KHurshid-ru ki hai 'waqar'
bhul kar bhi wo na aaya ek din
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.