jis ko paDi ho apne gareban ke tar ki
jis ko paḌī ho apne garebāñ ke taar kī
ro.e ḳhizāñ ko ḳhair manā.e bahār kī
me.arāj us ko kahiye hamāre ġhubār kī
varna ye ḳhaak aur havā kū-e-yār kī
pazhmurda phuul huuñ chaman-e-rozgār kā
tasvīr huuñ do-rañgī-e-lail-o-nahār kī
nīchī nigāh aaḌ meñ mizhgāñ kī al-amān
sayyād jaise ghaat meñ baiThe shikār kī
chīn-e-jabīn-e-yār kī chhuriyāñ vahīñ chalīñ
joñ hī taḌap baḌhī nigah-e-intizār kī
muñh faq hai is tarah mirī sub.h-e-firāq kā
jaise ho pahlī shaam ġharīb-ud-dayār kī
'betāb' ḳhatm kar ga.e ustād-e-nām-dār
jādū-nigāriyāñ qalam-e-sehr-kār kī
jis ko paDi ho apne gareban ke tar ki
roe KHizan ko KHair manae bahaar ki
mearaj us ko kahiye hamare ghubar ki
warna ye KHak aur hawa ku-e-yar ki
pazhmurda phul hun chaman-e-rozgar ka
taswir hun do-rangi-e-lail-o-nahaar ki
nichi nigah aaD mein mizhgan ki al-aman
sayyaad jaise ghat mein baiThe shikar ki
chin-e-jabin-e-yar ki chhuriyan wahin chalin
jon hi taDap baDhi nigah-e-intizar ki
munh faq hai is tarah meri subh-e-firaq ka
jaise ho pahli sham gharib-ud-dayar ki
'betab' KHatm kar gae ustad-e-nam-dar
jadu-nigariyan qalam-e-sehr-kar ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.