jis ko tai kar na sake aadmi sahra hai wahi
jis ko tai kar na sake aadmī sahrā hai vahī
aur āḳhir mire raste meñ bhī aayā hai vahī
ye alag baat ki ham raat ko hī dekh sakeñ
varna din ko bhī sitāroñ kā tamāshā hai vahī
apne mausam meñ pasand aayā hai koī chehrā
varna mausam to badalte rahe chehrā hai vahī
ek lamhe meñ zamāna huā taḳhlīq 'malāl'
vahī lamha hai yahāñ aur zamāna hai vahī
jis ko tai kar na sake aadmi sahra hai wahi
aur aaKHir mere raste mein bhi aaya hai wahi
ye alag baat ki hum raat ko hi dekh saken
warna din ko bhi sitaron ka tamasha hai wahi
apne mausam mein pasand aaya hai koi chehra
warna mausam to badalte rahe chehra hai wahi
ek lamhe mein zamana hua taKHliq 'malal'
wahi lamha hai yahan aur zamana hai wahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.