jis mein ho dozaKH ka Dar kya lutf us jine mein hai
jis meñ ho dozaḳh kā Dar kyā lutf us jiine meñ hai
tauba karne meñ kahāñ vo jo mazā piine meñ hai
ḳhushk bātoñ meñ kahāñ ai shaiḳh kaif-e-zindagī
vo to pī kar hī milegā jo mazā piine meñ hai
maiñ tirī tahqīr kar saktā nahīñ ai zabt-e-shauq
mere siine meñ rahegā raaz jo siine meñ hai
'arsh' par dekhā jo tū ne ai nigāh-e-dūr-bīñ
aa dikhā.ūñ maiñ vahī jalva mire siine meñ hai
jis mein ho dozaKH ka Dar kya lutf us jine mein hai
tauba karne mein kahan wo jo maza pine mein hai
KHushk baaton mein kahan ai shaiKH kaif-e-zindagi
wo to pi kar hi milega jo maza pine mein hai
main teri tahqir kar sakta nahin ai zabt-e-shauq
mere sine mein rahega raaz jo sine mein hai
'arsh' par dekha jo tu ne ai nigah-e-dur-bin
aa dikhaun main wahi jalwa mere sine mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.