jis mein na ho sukun nasib aise jahan ko kya karun
jis meñ na ho sukūñ nasīb aise jahāñ ko kyā karūñ
rāhat-e-dil na ho jahāñ aise makāñ ko kyā karūñ
sub.h nasīm kī jagah bād-e-sumūm tund-o-tez
gul ke bajā.e ḳhaar haiñ bāġh-e-jahāñ ko kyā karūñ
va.ade hazār-hā kiye rahbar-e-qaum ne magar
va.ada koī vafā nahīñ aisī zabāñ ko kyā karūñ
tūtī-e-gul-adā nahīñ bulbul-e-ḳhush-navā nahīñ
kargas-o-zāġh hoñ jahāñ aise jahāñ ko kyā karūñ
va.ada pe jī rahā huuñ maiñ naak meñ aa gayā hai dam
zāhirī ġham ko kyā karūñ soz-e-nihāñ ko kyā karūñ
jitne bhī ḳhās-o-ām haiñ zar ke sabhī ġhulām haiñ
kyā kahūñ mīr-e-vaqt ko pīr-e-muġhāñ ko kyā karūñ
bar-sar-e-manzil-e-murād dhoke diye haiñ qaum ko
ye to batāo fitrat-e-rāhbarāñ ko kyā karūñ
jis mein na ho sukun nasib aise jahan ko kya karun
rahat-e-dil na ho jahan aise makan ko kya karun
subh nasim ki jagah baad-e-sumum tund-o-tez
gul ke bajae KHar hain bagh-e-jahan ko kya karun
wade hazar-ha kiye rahbar-e-qaum ne magar
wada koi wafa nahin aisi zaban ko kya karun
tuti-e-gul-ada nahin bulbul-e-KHush-nawa nahin
kargas-o-zagh hon jahan aise jahan ko kya karun
wada pe ji raha hun main nak mein aa gaya hai dam
zahiri gham ko kya karun soz-e-nihan ko kya karun
jitne bhi KHas-o-am hain zar ke sabhi ghulam hain
kya kahun mir-e-waqt ko pir-e-mughan ko kya karun
bar-sar-e-manzil-e-murad dhoke diye hain qaum ko
ye to batao fitrat-e-rahbaran ko kya karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.