jis mein na KHushi ho wo mohabbat nahin achchhi
jis mein na KHushi ho wo mohabbat nahin achchhi
Fazal Husain Sabir
MORE BYFazal Husain Sabir
jis meñ na ḳhushī ho vo mohabbat nahīñ achchhī
kulfat se jo ḳhālī ho vo rāhat nahīñ achchhī
kahtā hai hasīnoñ kī mohabbat nahīñ achchhī
aur nāseh-e-kam-fahm ye aadat nahīñ achchhī
tum par jo na aa jaa.e to vo dil nahīñ achchhā
tum par jo na maa.il ho tabī.at nahīñ achchhī
be-dil liye dete ho jo tum ġhairoñ ko bose
nuqsān hai is meñ ye muravvat nahīñ achchhī
dilvā.eñ mujhe gāliyāñ ġhairoñ se sar-e-bazm
o shoḳh ye dar-parda sharārat nahīñ achchhī
dīvāne nahīñ ham jo giraftār-e-balā hoñ
vāqif haiñ ki in zulfoñ kī ulfat nahīñ achchhī
'sābir' ne sar-e-bazm jo chheḌā to vo bole
kambaḳht yahī to tirī aadat nahīñ achchhī
'sābir' shajar-e-ḳhushk se ummīd-e-samar kyā
jo faiz se ḳhālī ho vo ḳhidmat nahīñ achchhī
jis mein na KHushi ho wo mohabbat nahin achchhi
kulfat se jo KHali ho wo rahat nahin achchhi
kahta hai hasinon ki mohabbat nahin achchhi
aur naseh-e-kam-fahm ye aadat nahin achchhi
tum par jo na aa jae to wo dil nahin achchha
tum par jo na mail ho tabiat nahin achchhi
be-dil liye dete ho jo tum ghairon ko bose
nuqsan hai is mein ye murawwat nahin achchhi
dilwaen mujhe galiyan ghairon se sar-e-bazm
o shoKH ye dar-parda shararat nahin achchhi
diwane nahin hum jo giraftar-e-bala hon
waqif hain ki in zulfon ki ulfat nahin achchhi
'sabir' ne sar-e-bazm jo chheDa to wo bole
kambaKHt yahi to teri aadat nahin achchhi
'sabir' shajar-e-KHushk se ummid-e-samar kya
jo faiz se KHali ho wo KHidmat nahin achchhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.