jis ne baKHsha hai tujhko qalam zindagi
jis ne baḳhshā hai tujh ko qalam zindagī
us kā ehsān us kā karam zindagī
ārzūoñ kī bāñhoñ meñ le kar tujhe
kab se jhūlā jhulāte haiñ ham zindagī
ranj-o-ġham se na dāman bachā ham-safar
ranj-o-ġham se hī hai mohtaram zindagī
kar ke iz.hār-e-ġham bar-sar-e-anjuman
kho diyā tū ne apnā bharam zindagī
sard jazboñ kī sar-garmiyāñ baḌh ga.iiñ
ho ga.ī jab tirī aañkh nam zindagī
zindagī kī vazāhat kareñ kyā 'mujīb'
zindagī vajah-e-ġham vajah-e-ġham zindagī
jis ne baKHsha hai tujh ko qalam zindagi
us ka ehsan us ka karam zindagi
aarzuon ki banhon mein le kar tujhe
kab se jhula jhulate hain hum zindagi
ranj-o-gham se na daman bacha ham-safar
ranj-o-gham se hi hai mohtaram zindagi
kar ke izhaar-e-gham bar-sar-e-anjuman
kho diya tu ne apna bharam zindagi
sard jazbon ki sar-garmiyan baDh gain
ho gai jab teri aankh nam zindagi
zindagi ki wazahat karen kya 'mujib'
zindagi wajah-e-gham wajah-e-gham zindagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.