jis ne dekha wo ho gaya us ka
jis ne dekhā vo ho gayā us kā
kaun batlā.e ab pata us kā
zindagī bhar ye justujū hī rahī
kaun thā apnā kaun thā us kā
ho gayā būḌhā vo ġharīb āḳhir
aaj tak ghar na ban sakā us kā
us kī thāne meñ jeb ḳhālī thī
bas yahī ek jurm thā us kā
tai kare hai safar vo auroñ kā
kaun rokegā rāsta us kā
jaane kyā us ne likh diyā ho mujhe
is liye ḳhat na paḌh sakā us kā
nazar aa kar bhī vo na aa.e nazar
vaise dīdār har jagah us kā
jis ne dekha wo ho gaya us ka
kaun batlae ab pata us ka
zindagi bhar ye justuju hi rahi
kaun tha apna kaun tha us ka
ho gaya buDha wo gharib aaKHir
aaj tak ghar na ban saka us ka
us ki thane mein jeb KHali thi
bas yahi ek jurm tha us ka
tai kare hai safar wo auron ka
kaun rokega rasta us ka
jaane kya us ne likh diya ho mujhe
is liye KHat na paDh saka us ka
nazar aa kar bhi wo na aae nazar
waise didar har jagah us ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.