jis ne duniya se baghawat kar li
jis ne duniyā se baġhāvat kar lī
aise dil par bhī hukūmat kar lī
ba.az auqāt use yaad kiyā
ba.az auqāt tilāvat kar lī
ek hī shaḳhs burā lagtā thā
tum ne us se bhī mohabbat kar lī
das mahīnoñ ke liye duur hue
tiin sau rozoñ kī niyyat kar lī
pahle vo shaḳhs mire kaam kā thā
us ne phir tum se adāvat kar lī
jis ne duniya se baghawat kar li
aise dil par bhi hukumat kar li
baz auqat use yaad kiya
baz auqat tilawat kar li
ek hi shaKHs bura lagta tha
tum ne us se bhi mohabbat kar li
das mahinon ke liye dur hue
tin sau rozon ki niyyat kar li
pahle wo shaKHs mere kaam ka tha
us ne phir tum se adawat kar li
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.