jis ne ghairon ko apna jaana hai
jis ne ġhairoñ ko apnā jaanā hai
us ke qadmoñ pe ye zamāna hai
ashk-bārī hai shauq āñkhoñ kā
terā jaanā to ik bahānā hai
zindagī meñ usī ne hai luuTā
apnā ham ne jise bhī maanā hai
baa'd bachpan ke ham ne ye samjhā
ziist kā naam ġham uThānā hai
ġham hai be-shak magar jahāñ ke liye
dil ko samjhā ke muskurānā hai
haañ badī kā sila milegā bashar
vaqt ke haath tāziyāna hai
sabr kī intihā talak ai ziist
tere zulmoñ ko āzmānā hai
jis ne ghairon ko apna jaana hai
us ke qadmon pe ye zamana hai
ashk-bari hai shauq aankhon ka
tera jaana to ek bahana hai
zindagi mein usi ne hai luTa
apna hum ne jise bhi mana hai
ba'd bachpan ke hum ne ye samjha
zist ka nam gham uThana hai
gham hai be-shak magar jahan ke liye
dil ko samjha ke muskurana hai
han badi ka sila milega bashar
waqt ke hath taziyana hai
sabr ki intiha talak ai zist
tere zulmon ko aazmana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.