Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jis ne nafrat hi mujhe di na zafar pyar diya

Zafar Iqbal

jis ne nafrat hi mujhe di na zafar pyar diya

Zafar Iqbal

MORE BYZafar Iqbal

    jis ne nafrat mujhe na 'zafar' pyaar diyā

    maiñ ne sab kuchh use kyuuñ haar diyā vaar diyā

    ik nazar nisf nazar shoḳh ne Daalī dil par

    aur is dasht ko pairāya-e-gulzār diyā

    vaqt zaa.e' na karo ham nahīñ aise vaise

    ye ishāra to mujhe us ne ka.ī baar diyā

    zinda rakhtā thā mujhe shakl dikhā kar apnī

    kahīñ rū-posh huā aur mujhe maar diyā

    koī is baat ko taslīm kare na kare

    sub.h sair ne mujh ko dil-e-bīmār diyā

    zardiyāñ haiñ mire chehre pe 'zafar' us ghar

    us ne āḳhir mujhe rañg-e-dar-o-dīvār diyā

    jis ne nafrat hi mujhe di na 'zafar' pyar diya

    main ne sab kuchh use kyun haar diya war diya

    ek nazar nisf nazar shoKH ne Dali dil par

    aur is dasht ko pairaya-e-gulzar diya

    waqt zae' na karo hum nahin aise waise

    ye ishaara to mujhe us ne kai bar diya

    zinda rakhta tha mujhe shakl dikha kar apni

    kahin ru-posh hua aur mujhe mar diya

    koi is baat ko taslim kare ya na kare

    subh ki sair ne mujh ko dil-e-bimar diya

    zardiyan hain mere chehre pe 'zafar' us ghar ki

    us ne aaKHir mujhe rang-e-dar-o-diwar diya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now