jis ne teri bebak ada ko nahin dekha
jis ne tirī bebāk adā ko nahīñ dekhā
vallāh ki āñkhoñ se fazā ko nahīñ dekhā
kyuuñ mujh ko sunā.e na bhalā qissa-e-jannat
vaa.iz ne tire mehr-o-vafā ko nahīñ dekhā
afsos ki sun hī ke abhī hañste ho afsos
tum ne jo agar āh-o-bukā ko nahīñ dekhā
ghabrā.e hue phirtī hai kyuuñ mere tarah se
tāsīr ne kyā merī duā ko nahīñ dekhā
bebākiyāñ dekhīñ haiñ tirī bazm-e-adū meñ
āñkhoñ meñ tirī sharm-o-hayā ko nahīñ dekhā
kahte haiñ ġhalat hovegā dushman kā guzar ḳhaak
kūche meñ tire bād-e-sabā ko nahīñ dekhā
ma.alūm nahīñ tum ko vafā kahte haiñ kis ko
tum ne abhī arbāb-e-vafā ko nahīñ dekhā
kyā ḳhaak ho ummīd mujhe us se vafā kī
maiñ ne to kabhī us kī jafā ko nahīñ dekhā
nāzāñ na hoñ kyuuñ ḳhizar bhalā umr pe apnī
hazrat ne tirā zulf-e-rasā ko nahīñ dekhā
parde se nikalte nahīñ aur kahte haiñ mujh se
pahchānoge kyā ham ko ḳhudā ko nahīñ dekhā
aage tirī āñkhoñ ke jhukā.e hue āñkheñ
kab āhu-e-bāvar-ba-ḳhatā ko nahīñ dekhā
kyuuñ hazrat-e-mūsā kī tarah na.ash meñ 'nassāḳh'
gar tum ne but-e-hosh-rubā ko nahīñ dekhā
jis ne teri bebak ada ko nahin dekha
wallah ki aankhon se faza ko nahin dekha
kyun mujh ko sunae na bhala qissa-e-jannat
waiz ne tere mehr-o-wafa ko nahin dekha
afsos ki sun hi ke abhi hanste ho afsos
tum ne jo agar aah-o-buka ko nahin dekha
ghabrae hue phirti hai kyun mere tarah se
tasir ne kya meri dua ko nahin dekha
bebakiyan dekhin hain teri bazm-e-adu mein
aankhon mein teri sharm-o-haya ko nahin dekha
kahte hain ghalat howega dushman ka guzar KHak
kuche mein tere baad-e-saba ko nahin dekha
malum nahin tum ko wafa kahte hain kis ko
tum ne abhi arbab-e-wafa ko nahin dekha
kya KHak ho ummid mujhe us se wafa ki
main ne to kabhi us ki jafa ko nahin dekha
nazan na hon kyun KHizar bhala umr pe apni
hazrat ne tera zulf-e-rasa ko nahin dekha
parde se nikalte nahin aur kahte hain mujh se
pahchanoge kya hum ko KHuda ko nahin dekha
aage teri aankhon ke jhukae hue aankhen
kab aahu-e-bawar-ba-KHata ko nahin dekha
kyun hazrat-e-musa ki tarah nash mein 'nassaKH'
gar tum ne but-e-hosh-ruba ko nahin dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.