jis par jabin jhukai thi wo dar talash kar
jis par jabīñ jhukā.ī thī vo dar talāsh kar
jis ghar ko tū ne chhoḌā hai vo ghar talāsh kar
chāñdī na sonā hiirā na gauhar talāsh kar
uqbā meñ kaam aa.e vo zevar talāsh kar
chāqū na saif barchhī na ḳhanjar talāsh kar
jo ho sake to amn kā manzar talāsh kar
kahne pe tere maañ ko bhalā kaise chhoḌ duuñ
tū aisā kar ki dūsrā shauhar talāsh kar
pardes meñ sukūn kise miltā hai 'hilāl'
dil kā sukūn apne hī ghar par talāsh kar
jis par jabin jhukai thi wo dar talash kar
jis ghar ko tu ne chhoDa hai wo ghar talash kar
chandi na sona hira na gauhar talash kar
uqba mein kaam aae wo zewar talash kar
chaqu na saif barchhi na KHanjar talash kar
jo ho sake to amn ka manzar talash kar
kahne pe tere man ko bhala kaise chhoD dun
tu aisa kar ki dusra shauhar talash kar
pardes mein sukun kise milta hai 'hilal'
dil ka sukun apne hi ghar par talash kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.