jis qadar zindagi ke pas raha
jis qadar zindagī ke paas rahā
aadmī aur bhī udaas rahā
rāstoñ meñ to itnā ḳhauf na thā
jis qadar manziloñ ke paas rahā
jab bhī sūraj milā milā tanhā
chāñd tāroñ ke paas paas rahā
kitne pahnā.e āgahī ne libās
aadmī phir bhī be-libās rahā
ḳhud se begāna hī rahā nādāñ
aur ġhairoñ se rū-shanās rahā
jis qadar zindagi ke pas raha
aadmi aur bhi udas raha
raston mein to itna KHauf na tha
jis qadar manzilon ke pas raha
jab bhi suraj mila mila tanha
chand taron ke pas pas raha
kitne pahnae aagahi ne libas
aadmi phir bhi be-libas raha
KHud se begana hi raha nadan
aur ghairon se ru-shanas raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.