jis rah mein pech-o-KHam nahin hai
jis raah meñ pech-o-ḳham nahīñ hai
us raah pe kyoñ haram nahīñ hai
chalnā hai ham ko chal rahe haiñ
manzil kyā har qadam nahīñ hai
sajda vo hai ba-rabb-e-ka.aba
jis ko qaid-e-haram nahīñ hai
saarī ḳhilqat hai sar jhukā.e
ek is gardan meñ ḳham nahīñ hai
jannat kyā hai havas kā dhokā
kyā hogī ḳhushī ki ġham nahīñ hai
sajda hai karishma-e-tasavvur
mat kah ki ḳhudā sanam nahīñ hai
jis rah mein pech-o-KHam nahin hai
us rah pe kyon haram nahin hai
chalna hai hum ko chal rahe hain
manzil kya har qadam nahin hai
sajda wo hai ba-rabb-e-kaba
jis ko qaid-e-haram nahin hai
sari KHilqat hai sar jhukae
ek is gardan mein KHam nahin hai
jannat kya hai hawas ka dhoka
kya hogi KHushi ki gham nahin hai
sajda hai karishma-e-tasawwur
mat kah ki KHuda sanam nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.