jis rah se bhi guzar gae hum
jis raah se bhī guzar ga.e ham
har dil ko gudāz kar ga.e ham
jalve the kisī ke kār-farmā
har naqsh meñ rañg bhar ga.e ham
kyā jāniye kyā thā us nazar meñ
uljhe to sañvar sañvar ga.e ham
ham bhāñp ga.e the rañg-e-mahfil
kahne ko to be-ḳhabar ga.e ham
har dil thā udāsiyoñ kā ma.abad
har gaam Thahar Thahar ga.e ham
be-mehrī-e-dost talḳhi-e-zīst
kis kis se nibāh kar ga.e ham
ummīd-e-vafā pe jiine vaalo
ummīd-e-vafā meñ mar ga.e ham
jis rah se bhi guzar gae hum
har dil ko gudaz kar gae hum
jalwe the kisi ke kar-farma
har naqsh mein rang bhar gae hum
kya jaaniye kya tha us nazar mein
uljhe to sanwar sanwar gae hum
hum bhanp gae the rang-e-mahfil
kahne ko to be-KHabar gae hum
har dil tha udasiyon ka mabad
har gam Thahar Thahar gae hum
be-mehri-e-dost talKHi-e-zist
kis kis se nibah kar gae hum
ummid-e-wafa pe jine walo
ummid-e-wafa mein mar gae hum
- Book : Rag-e-jan (Pg. 53)
- Author : Ahmad Rahi
- Publication : Al-Hamd Publication (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.