jis raja ke bal-bute par raj-mahal tak jati ho
jis raja ke bal-bute par raj-mahal tak jati ho
Abul Fitrat Meer Zaidi
MORE BYAbul Fitrat Meer Zaidi
jis raaja ke bal-būte par rāj-mahal tak jaatī ho
rāj-mahal meñ baiTh ke us par patthar kyoñ barsātī ho
patthar kī in mūrtiyoñ meñ tum bhī ek izāfa ho
lākhoñ sevak dekh rahe haiñ ham se kyoñ sharmātī ho
duur galī kī morniyoñ meñ kitnī sundar lagtī ho
dil ke mandir meñ phir aa kar patthar kyoñ ban jaatī ho
pyaar nagar meñ hañsnā ronā sab kuchh hotā rahtā hai
aapas kī bātoñ meñ āḳhir ġhairoñ ko kyoñ laatī ho
tum kahtī ho nārī-haT meñ dil kī baat muqaddam hai
dil kī baat muqaddam Thahrī phir kyoñ dhokā khātī ho
mūrtiyoñ ke des meñ saare patthar ke gun gaate haiñ
tum kyoñ āshāoñ ke sar par nāgin sī lahrātī ho
laakh bulā.ūñ chup rahtī ho ye bhī koī baat huī
man-mandir meñ aag lagā kar devī kyoñ ban jaatī ho
devī jaan ke devī dvāre jab ham phuul chaḌhāte haiñ
rūp-nagar meñ nārī-chhal ke kyā kyā ruup dikhātī ho
sundartā se pyaar kī bindiyā rākhī ke armānoñ tak
nange bhūke insānoñ par kyā kyā tiir chalātī ho
'zaidī' par ilzām lagā jab tum ne bhī tardīd na kī
apne uupar baat jab aa.ī kaisī qasmeñ khātī ho
jis raja ke bal-bute par raj-mahal tak jati ho
raj-mahal mein baiTh ke us par patthar kyon barsati ho
patthar ki in murtiyon mein tum bhi ek izafa ho
lakhon sewak dekh rahe hain hum se kyon sharmati ho
dur gali ki morniyon mein kitni sundar lagti ho
dil ke mandir mein phir aa kar patthar kyon ban jati ho
pyar nagar mein hansna rona sab kuchh hota rahta hai
aapas ki baaton mein aaKHir ghairon ko kyon lati ho
tum kahti ho nari-haT mein dil ki baat muqaddam hai
dil ki baat muqaddam Thahri phir kyon dhoka khati ho
murtiyon ke des mein sare patthar ke gun gate hain
tum kyon aashaon ke sar par nagin si lahraati ho
lakh bulaun chup rahti ho ye bhi koi baat hui
man-mandir mein aag laga kar dewi kyon ban jati ho
dewi jaan ke dewi dware jab hum phul chaDhate hain
rup-nagar mein nari-chhal ke kya kya rup dikhati ho
sundarta se pyar ki bindiya rakhi ke armanon tak
nange bhuke insanon par kya kya tir chalati ho
'zaidi' par ilzam laga jab tum ne bhi tardid na ki
apne upar baat jab aai kaisi qasmen khati ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.