jis se mil baiThe lagi wo shakl pahchani hui
jis se mil baiThe lagī vo shakl pahchānī huī
aaj tak ham se yahī bas ek nādānī huī
saikḌoñ parde uThā laa.e the ham bāzār se
gutthiyāñ kuchh aur uljhīñ aur hairānī huī
ham to samjhe the ki us se fāsle miT jā.eñge
ḳhud ko zāhir bhī kiyā lekin pashemānī huī
kyā batā.eñ fikr kyā hai aur kyā hai justujū
haañ tabī.at din-ba-din apnī bhī sailānī huī
kyuuñ khilaune TūTne par āb-dīda ho ga.e
ab tumheñ ham kyā batā.eñ kyā pareshānī huī
jis se mil baiThe lagi wo shakl pahchani hui
aaj tak hum se yahi bas ek nadani hui
saikDon parde uTha lae the hum bazar se
gutthiyan kuchh aur uljhin aur hairani hui
hum to samjhe the ki us se fasle miT jaenge
KHud ko zahir bhi kiya lekin pashemani hui
kya bataen fikr kya hai aur kya hai justuju
han tabiat din-ba-din apni bhi sailani hui
kyun khilaune TuTne par aab-dida ho gae
ab tumhein hum kya bataen kya pareshani hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.