jis taraf se bhi milawaT ki rasad hai rad hai
jis taraf se bhī milāvaT kī rasad hai rad hai
ek rattī bhī agar ḳhvāhish-e-bad hai rad hai
dukh diye haiñ zar-e-ḳhālis kī parakh ne lekin
jis ta.alluq meñ kahīñ kīna-o-kad hai rad hai
amn likhnā nahīñ sīkheñ jinheñ paḌh kar bachche
un kitāboñ pe kisī kī bhī sanad hai rad hai
jab chaḌhā.ī pe mirā haath na thāmā tū ne
ab ye choTī pe jo be-faiz madad hai rad hai
is lagāvaT bhare lahje kī jagah hai dil meñ
tahniyat meñ jo riyā aur hasad hai rad hai
apnī sarhad kī hifāzat pe hai īmān magar
zindagī aur mohabbat pe jo had hai rad hai
us se kahnā ki ye tardīd koī khel nahīñ
jo mirī baat ko dohrā.e ki rad hai rad hai
jis taraf se bhi milawaT ki rasad hai rad hai
ek ratti bhi agar KHwahish-e-bad hai rad hai
dukh diye hain zar-e-KHalis ki parakh ne lekin
jis talluq mein kahin kina-o-kad hai rad hai
amn likhna nahin sikhen jinhen paDh kar bachche
un kitabon pe kisi ki bhi sanad hai rad hai
jab chaDhai pe mera hath na thama tu ne
ab ye choTi pe jo be-faiz madad hai rad hai
is lagawaT bhare lahje ki jagah hai dil mein
tahniyat mein jo riya aur hasad hai rad hai
apni sarhad ki hifazat pe hai iman magar
zindagi aur mohabbat pe jo had hai rad hai
us se kahna ki ye tardid koi khel nahin
jo meri baat ko dohrae ki rad hai rad hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.